حاضر دماغی

ایک دیہاتی شہر گیا ، اس کے سَر کے بال بہت بڑھے ہوئے تھے۔ چند شہری اس کی طرف اشارہ کر کے بولے " دیکھو یار اس کے سَر پر بال ہیں یا گھاس اگا رکھی ہے "
دیہاتی حاضر دماغ تھا ان کی طرف اشارہ کر کے بولا " میں بھی کہوں کے آخر یہ گدھے میری طرف کیوں آرہے ہیں۔

aik dehati shehar gaya, iss ke sar ke baal bohat barhay hue thay. chand shehri iss ki taraf ishara kar ke bolay" dekho yaar iss ke sar par baal hain ya ghaas uga rakhi hai "
dehati haazir dimagh tha unn ki taraf ishara kar ke bola" mein bhi kahoon ke aakhir yeh gadhe meri taraf kiyon arahe hain .

Posted on Apr 10, 2013