دشمن ہے اور اپنا بنا کر ملتا ہے
دلدل ہیں اور راستے بن کر ملتا ہے
روپ بدلتا رہنا اسکی فطرت ہے
پیتل ہے اور سونا بن کر ملتا ہے
کیسے پیاس بجھائے گا وہ اوروں کی
دریا ہے اور پیاسا بن کر ملتا ہے
جو بھی اسکی جدھ میں آیا جھلس گیا
دھوپ ہے اور سایہ بن کر ملتا ہے
دل میں نفرت اور زباں پر میٹھے بول
کیسا ہے اور کیسا بن کر ملتا ہے
Dushmann hai aur apna bana kar milta hai
daldal hain aur raastha ban kar milta hai
roop badalte rahna uski fitrat hai
peetal hai aur sona ban kar milta hai
kaise pyaas bujhayega vo auron ki
dariya hai aur pyaasa ban kar milta hai
jo bhi uski jadh mein aaya jhulas gaya
dhoop hai aur saaya ban kar milta hai
dil mein nafrat aur zabaan par meethe bol
kaisa hai aur kaisa ban kar milta hai
سماجی رابطہ