میرے لیے اتنا کافی ہے کے ،
میں اپنی سرزمیں پر موت دیکھوں ،
اور یہیں دفن ہوں ،
اور اس مٹی میں پگھل کر پھیل جاؤں ،
پھر پھول کی طرح زمین سے بہار نکلو ،
میرے دیس کے بچے اس کے ساتھ کھیلیں ،
میرے لیے اتنا ہی کافی ہے
کے میں اپنے وطن کی گود میں رہوں ،
اس طرح جیسے مٹھی بھر گرد ،
بہار کی گھاس کی طرح ،
ایک پھول کی مانند . . . !
mere liye itna kaafi hai ke,
mein apni sarzameen per maut dekhoon,
aur yahin dafan hoon,
aur es miti mein pighal kar phel jaaon,
phir phool ki tarah zameen se bahar niklo,
mere des ke bache es ke sath khailain,
mere liye itna hi kaafi hai
ke mein apne watan ki gaud mein rahoon,
es tarah jese muthi bhar gard,
bahaar ki ghaas ki tarah,
aik phool ki manind...!
Posted on Jun 12, 2012
سماجی رابطہ