جو ذات ، شکم مادرِ میں بچے کو صورت گری کرتی ہے

جو ذات ، شکم مادرِ میں بچے کو صورت گری کرتی ہے ، وہی ذات خیال کو صورت گر بھی ہے ، اور وہی ذات عمل کی صورت بھی پیدا کرتی ہے . ہر چہرہ ایک رینج میں تاثیر رکھتا ہے . اسی طرح ہر خیال ایک دائرہ تاثیر رکھتا ہے اور ہر عمل ایک دور ہے جس میں وہ مؤثر ہوتا ہے . اپنے دائرے سے باہر ہر مؤثر شہ بے تاثیر ہو جاتی ہے ، کچھ چہرے ، خیال اور اعمال صدیوں پر محیط ہوتے ہیں اور زمانوں پر حاوی ہوتے ہیں .

jo zaat, shikam e madar mein bachay ko soorat gari karti hai, wahi zaat khayal ko soorat gar bhi hai, aur wahi zaat amal ki soorat bhi peda karti hai. har chehra aik range mein taseer rakhta hai. isi tarah har khayal aik daira e taseer rakhta hai aur har amal aik dour hai jiss mein wo moassar hota hai. apnay dairay se bahar har moassar shay bay taseer ho jati hai, kuch chehray, khayal aur amaal sadion par muheet hotay hain aur zamanon par haawi hotay hain.

Posted on Mar 24, 2013