"انسان سمجھتا ہے کہ وہ دنیا کی طرف قدم بڑھا رہا ہے مگر سوچنے پر یہ کھلتا ہے کہ موت کی سمت اس کے قدموں کا فاصلہ گھٹتا جا رہا ہے۔ وہ سمجھتا ہے کہ دنیا صرف اسی کی ہے اور دنیا سے ہر دن ایک انچ اپنے اندر سے نکال کر موت کی وادی کی طرف دھکیل دیتی ہے۔ مگر یہ قدموں کے فاصلے کون گنتا ہے۔ یہاں تو صرف دوڑ ہے۔ ایک مسمریزم کی دوڑ۔ آگے اور بہتر سے بہتر پانے کی دوڑ۔ کیا کچھ گنوانا پڑتا ہے اس دوڑ میں۔ دل، آرزوئیں، تمنائیں، محبتیں۔ سبھی کچھ۔ مگر کوئی خسارے سے پہلے کچھ سوچتا ہی کب ہے۔"
" insaan samjhta hai kay woh duniya ki taraf qadam barha raha hai magar sochnay par yeh khilta hai kay mout ki simt iss ke qadmon ka faasla ghat-ta ja raha hai. woh samjhta hai kay duniya sirf isi ki hai aur duniya se har din aik inch apne andar se nikal kar mout ki waadi ki taraf dhakel deti hai. magar yeh qadmon ke faaslay kon ginta hai. yahan to sirf door hai. aik masmarezam ki door. agay aur behtar se behtar panay ki door. kya kuch ganwana parta hai iss door mein. dil, aarzoyeen, tamannaye, muhabbaten. sabhi kuch. magar koi khasaray se pehlay kuch sochta he kab hai. "
سماجی رابطہ