tumhin kis nay kaha pagli 
mujhay tum yaad aati ho 
bohat khush feham ho tum bhi 
tumhari khush gumani hai 
meeri ankhon ki surkhi main 
tumhari yaad ka matlab 
mairay shab bhar kay jagnay main 
tumharay khwaab ka matlab??? 
yah ankhien to hameesha say hi 
meri surkh rehti hain 
tumhin malom hi hoga 
is shahar ki faza kitni aaloda hai 
tu yah sozish,,ussi fizza kay bayes hai 
tumhin kis nay kaha pagli 
ke main shab bhar nhin sota 
mujhay is nokri kay sab jhameelon say 
kabhi fursat milay to tab hai na 
meeri baaton main larzish hai??? 
main aksar kho sa jata hon?? 
tumhin kis nay kaha pagli 
mohabbat kay ilawa aur bhi to dard hotay hain 
fikar-e-muaash,sukh ki tlaash, 
aisay aur bhi gham hain 
aur tum 
un sab ghamon kay baad aati ho 
tumhin kis nay kaha pagali 
mujhay tum yaad aati ho 
yah dunya walay pagal hain 
zara si baat ko yah to afsaana samajhtay hain 
mujhay ab bhi yah pagal tera dewana samajhtay hain 
tumhin kis nay kaha pagli 
magar shyed 
magar shyed main jhoota hon 
main reeza reeza toota hon...!
ہفتہ, 17 مارچ 2012