mujhko bachpan wo yaad aata hai
roz aakar mujhe rulata hai
meri maa jab mujhe lagati gale
abbu kandhe pe jab uthate the
meri behnain mujhe satati thi
bhai mere mujhe hansate the
kitna pyara tha wo mera bachpan
kitni pyari thi wo meri sakhiyan
meri gudia ki jab hui shadi
meri ankhon se ashq behte the
yaad aye bidai meri mujhe
ghar ke sab ro rhe the jab mere
bebasi mei main bhi roi thi
apne babul ka choar kar angna
praye desh mein the log anjane
ro rahi aankh yaad kar ke wo din
dil mera bhi tarap raha hai yahan
meri maa bhi wahan roti hai bahut
na mein un ki rahi na apni hoon
ab to bas zindgi mein hain yaadein
aur mein hun meri tanhayi hai
meri bachpan ki sirf yadein hein
apna bachpan yad jaab bhi karo
yeh nazam padh ke khoob ro lena!
جمعہ, 14 اکتوبر 2011