نیا اضافہ 


tu hawa k hath pe chahton ka dia jalany ki zid na kr
ye udas logo ka shehr hai yaha muskuranay ki zid na kr

me hon dosto ka dassa hua, mera gham hai had se barha huwa
me shikasta ghar ki misal hon mere paas aany ki zid na kr

me teri ghazal to nahi hon na jo hr aik lab pe saja rahon
me to aik misra-e-dard hon mujhy gungunany ki zid na kr

abhi lout aa, abhi waqt hai abhi jan baqi hai jism me
tujhy eilm hai meri jan hai tu, mujhy azmanay ki zid na kr...!

ہفتہ, 17 مارچ 2012
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
مجھ کو بچپن وہ یاد آتا ہے ہر ایک لڑکی ہوتی ہے ماں باپ کی جان
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.