25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21
Akhrot ka istemaal depration aur thakaan ko kam karta hai
Duniya mein herbal medicine kay istemaal mein taizi say izafah ho raha hai. haliya tehqeeq kay mutabiq garam tar mizaaj ka haamil phal akhrot aur uskay tail ka istemaal depration aur thakaan ko kam karnay mein madad deta hai. akhrot mein mojood ajzaa fashar e khoon ( high blood pressure ) ko aitdaal par laa kar zehni dabao ko kam karnay mein ahem kirdaar ada kartay hain. woh afraad jo zyada dimaghi mehnat kartay hain in ko ghiza mein akhrot aur uskay tail ka istemaal barha dena chahiye. unhon ne kaha ke akhrot ka istemaal dil kay amraaz ki rok thaam mein muawin saabit hota hai. aur jismani kamzoree aur susti say nijaat dilaata hai.