10 نومبر 2010
وقت اشاعت: 20:8
Surkh mirch ka ziada istemaal muzir hai, mahireen sahet ki raye
Karachi : mahireen e sahet ne surkh mirch ko surkh zeher qarar detay huay khabardaar kiya hai ke iss kay ziada istemaal say jisam mukhtalif qisam ki bimarion mein mubtala ho sakta hai.
mahireen k mutabiq ziada miqdaar mein surkh mirch khanay say moun mein iss k asraat murattab hotay hain, jo pooray jisam tak muntaqil ho jatay hain, iss ki wajah say naak aur aankhon say pani behna shuru hojata hai. jabkay ghiza ki naali mein jalan hoti hai. iss k deegar asraat mein meday ki soozish aur anton k amraaz shaamil hain. mahireen ka yeh bhi kehna hai ke surkh mirch k fawaid nuqsanaat k muqablay mein aatay mein namak k barabar hain.