تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
11 نومبر 2010
وقت اشاعت: 10:28

Mdafati teeka khatarnaak bimarion say tahaffuz deta hai

Karachi : tibbi mahireen ka kehna hai ke mdafati teeka teen khatarnaak bimarion say bacha sakta hai. mahireen k mutabiq mdafati teeka laganay say bachay aur boorhay kraz, khunaq aur kaali khansi sameit kayi bimarion say mehfooz rakhta hai. tehqeeq k mutabiq kaali khansi 1 shakhs say dosray muntaqil hoti hai.
kraz zakhm ya kharaash say jisam mein daakhil hota hai. aur pooray jisam mein dard shuru hojata hai. tehqeeq karon k mutabiq in teen khatarnaak aur deegar bimarion ki soorat mein ahtiyaat kya jaye. aur mukammal ilaaj karanay k saath mdafati teekay bhi lagaye jayen.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.