تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
11 نومبر 2010
وقت اشاعت: 19:30

Name k pattoun say cheechak, khasra aur danon ka ilaaj

Karachi : cheeni mahireen ki aik haliya tehqeeq k mutabiq neem k taaza nunnhey patay khanay say cheechak, khasra, aur keel mahason ka ilaaj mumkin hai.
mahireen ka kehna hai ke neem kay darakht par ugnay walay nannhey patay cheechak k saath saath khasra aur keel mahason ke liye bhi faida mand hain. mahireen k mutabiq neem k pattoun mein aisay qudrati ajza paye ja te hain jo jisam k andar daakhil ho kar khoon aur jigar ko saaf karnay k saath kharish aur khujli ko bhi khatam karte hain.
tehqeeq kay mutabiq neem kay patay zayqe mein intehai talkh hotay hain jinhen khana mushkil hai lekin unkay insani sahet kay liye fawaid la tadaad hain.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.