تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
6 جون 2011
وقت اشاعت: 8:4

Taiz raftaar chehal qadmi sahet k liye intehai mufeed hai, Tehqeeq

Taiz raftaar chehal qadmi sahet k liye intehai faiday mand hai iss say dimagh chust aur jisam tawana rehta hai. Germany k shehar kolon mein qaim sports university mein ki gayi aik tehqeeq mein kaha gaya hai ke taiz raftaar chehal qadmi ka asal nateeja haasil karnay k liye zaroori hai ke aik ghantay mein taqreeban saarhay chaar say chay kilometer tak ka faasalaa tey kya jaye.



sham k ooqaat mein sirf aadhe ghantay ki taiz raftaar chehal qadmi taweel arsay tak sahet mand zindagi ki zamanat hai. iss say cardio vescular system nah sirf mazboot hota hai balkay yeh pehphron ki salahiyat badhaane aur khoon mein chiknai ki satah kam karnay mein bhi nihayat ahem kirdaar ada karta hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
ملیریا کے خلاف عالمی دنتپدق قابل علاج مگر بروقت تشخیص لازمی
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.