25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21
Asiayi mumalik diabities ki lapait mein
Diabities aik aisa marz hai jo dil kay marz ki bunyadi wajah samjha jata hai. haliya tehqeeq mein yeh baat samnay aai hai ke asiayi mulkon mein duniya kay deegar mumalik kay muqablay mein diabities ka marz barhta ja raha hai. tehqeeq karon kay mutabiq asiayi mumalik mein jeneati wajohaat ki bana par teen agers aur nojawanon mein diabities ka marz barhta ja raha hai. jis par qaboo panay ke liye maloomat e zindagi mein thori si tabdeeli aur khoraak kay istemaal mein ahtiyaat bay hadd ahem hai. iss silsilay mein mahireen ka kehna hai ke diabities kay control ka sab say behtareen tareeqa pabandi kay saath dawa ka istemaal, exercise aur chehal qadmi karna hai. iss kay saath he saath munasib khoraak jo ke chiknai aur deegar nuqsaan deh ajza say pak ho, aisi ghiza ka istemaal karnay say diabities ko na sirf kam kiya ja sakta hai balkay jeneati tour par iss marz ki muntaqili ko bhi kam kiya ja sakta hai.