25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21
Blue berrys say high blood pressure marz say bacha ja sakta hai
Do muthi bhar blue berrys khayeen, high blood pressure aur dil kay amraaz door bhaghain. Bartanwi sainsdano ki tehqeeq kay mutabiq haftay mein sirf do muthi bhar blue berrys khanay say high blood pressure, alzaimar aur dil kay kayi amraaz say bacha ja sakta hai. Bartania mein taqreeban 10 million afraad high blood pressure ki wajah say dil kay aarzay mein mubtala ho jatay hain. tehqeeq kay mutabiq blue berrys mein mojood anthocyanins hyper tension say mehfooz rakhta hai.