25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21
Khanay kay doran TV dekhnay say motapa hota hai
Mahireen e tib kay mutabiq raat ko TV dekhte huay khanay wali khawateen ki thakan zaroor utar jati ho gi lekin aisa karna motapay ko dawat deta hai. Australia ki micwaire university kay mahireen ne munasib wazan ki haamil khawateen kay aik group par tehqeeq ki. iss kay mutabiq TV dekhte huay khanay say tawajah aik janib nahi rehti aur raat kay kisi pehar bhook phir say jaag uthti hai. iss soorat mein jisam mein calories ki miqdaar barh jati hai. tehqeeq kay doran sirf khanay say insaaf karnay wali khawateen ne dobarah bhook lagnay ki shikaayet nahi ki. mahireen kehtay hain ke dilchasp TV programme dekhte huay khanay ka zaiqa mehsoos karnay ka amal mutasir hota hai. iss soorat mein raat ko dobarah pait bherna sahet ke liye achha nahi hota.