تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21

Mardon mein ghudood ka cancer

Bimarion kay bachao kay Amrici idaray centers far diseases control and prevention kay mutabiq mardon mein sartaan ki sab say aam qisam prostate cancer hai. world cancer reserch fund kay adaad o shumaar kay mutabiq 2008 mein no laakh mard iss cancer mein mubtala huay jabkay 2030 tak iss kay mareezon ki tadaad taqreeban dugni ho sakti hai. taham mahireen sahet ka kehna hai ke bohat say logon mein yeh marz khatarnaak noiyat ka nahi hota.
Steven Pine sun mein prostate cancer ki tashkhees teen saal pehlay hui thi. magar reports kay nataij mein yeh baat samnay aai ke in ka cancer bohat mamooli noiyat ka tha. yahi wajah thi ke in kay doctor ne cancer ka ilaaj karnay ki bajaye marz kay phelao ki nigraani ka faisla kya. cancer ki nigraani kay iss amal ko tib mein active surveillance kaha jata hai.

Amrici riyasat Bostan kay dina faber cancer center ki doctor Jolia Henz ka kehna hai ke nigraani kay amal mein khoon kay test kiye jatay hain taakay jisam mein protein ki miqdaar ka andaza lagaya ja sakay.

in ka kehna hai ke yeh aik naya tareeqa hai jis mein mareezon kay cancer ki ibtidayi stage mein ilaaj karnay ki bajaye in kay jisam ka muaina aur khoon kay test aur Biopsies ki jati hain. phir iss baat ka taayun kya jata hai ke mareez ko surgery ki zaroorat hai ke nahi.

iss tareeqa ِe ilaaj mein doctors aur mareezon dono ko he intzaar karna parta hai. kyunkay surgery say baaz auqaat mareez ki poori zindagi mutasir hoti hai.

doctor Jolia henz aur deegar doctoron ne 65 saal ki Umar kay aik laakh afraad ka data computer mein dala jin mein ghudood kay cancer ki ibtidayi stage ki tashkhees hui thi. aur unhon ne surgery ya phir iss ki nigraani ka tareeqa apnaya tha.

magar Amrici riyasat Washington ki George town university hospital kay doctor Shin kolanz in mareezon kay liye nigraani ka tareeqa tajweez kartay hain jin ki zindagi kay das saal ya iss say kam rehnay ki umide ho.

in ka kehna hai ke jab hum in ghudood ki Biopsies kartay hain tou zaroori nahi ke pooray tareeqay say cancer ka ilaaj ho gaya ho, cancer ki mojoodgi kay imkanaat baqi rehtay hain.

inka kehna hai ke phir bhi yeh tehqeeq achi hai kyunkay miyaar e zindagi ka matlab har shakhs kay liye mukhtalif hota hai. aur prostate kay cancer kay ilaaj mein iss ka dheyaan rakhna zaroori hona chahiye.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.