تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
31 مئی 2011
وقت اشاعت: 20:39

Nasiyan ki bemari ka ilaaj mehanga ho gaya

London : maghribi tehqeeq karon ne kaha hai ke nasiyan ki bemari ka ilaaj mehanga hota ja raha hai. iss saal mareezon kay ilaaj par600arab dollar kharch aaye hain.
Bartania mein qaim tanzeem al zhaimars diseases international ( ADI ) ne alzhaimar aur zehni pasmandagi ki qisam ki deegar bimarion ko ikeeswen sadi mein sahet aur muashray ka qabil e zikar bohraan qarar diya hai. group ne apni report mein kaha ke jon jon logon ki umrein taweel hoti ja rahi hain, alzhaimar zehni pasmandagi ki sab say zyada aam qisam kay tour par taizi say phail rahi hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.