تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21

Paaltoo janwaron say so khatarnaak bemariyan muntaqil hoti hain

Paaltoo janwaron kay malkaan baaz auqaat unhain apnay ghar mein azadi say ghoomnay ki ijazat detay hain. kuttay bilian tou naram bistar par neend kay mazay bhi louttay hain. lekin aisa karna insani sahet ko na qabil e talaafi nuqsaan pohancha sakta hai. University of California ki nai tehqeeq kay mutabiq paaltoo janwaron say so khatarnaak bemariyan insanon ko muntaqil hoti hain. in ki jald par mojood chhootey chhootey keeron say taoon ka khatrah bhi hota hai. University kay professor Brono Comail kay mutabiq sleeping room mein jeetey jagtay kuttay ya bilion ko lanay kay bajaye in kay khobsorat khilonay rakhna kahin zyada behtar hai. mahireen kay mutabiq in janwaron kay saath sonay ki soorat mein nah sirf nizaam hazma mutasir hota hai balkay gurday, jigar aur dil kay amraaz bhi paida ho saktay hain.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.