25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21
Raishay daar غذائیں hazma ke liye mufeed
Ghizai mahireen kay mutabiq raishay daar phal aur sabzian khana kayi bimarion say bachata hai. haliya tehqeeq mein bataya gaya hai ke raishay daar ghiza ka istemaal hazma taiz karta hai. raishay daar phal aur sabzion mein deegar ijnaas kay muqablay mein kayi gunna zyada protein aur minerals paye jatay hain jo jisam ko quwwat dainay kay saath saath motapay say bhi bachati hain. raishay daar phalon mein malta aur saib sar e fehrist hain. jin ko khanay say khoon ki ravani bhi taiz hoti hai aur dil kay amraaz say bachna mumkin hota hai, issi tarah raishay daar sabzion mein gaajar, mooli shaamil hain jo fashaar e khoon aur diabities say bachati hain.