تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21

Video game ka zyada istemaal bachon ke liye nuqsaan deh

Technology kay iss door mein video games bachon ka sab say pasandeeda mashgala hai, lekin nai tehqeeq kay mutabiq zyada video game khelna bachon ki zehni sahet ke liye achha nahi. high aur primaray schoolon kay taqreeban teen hazar bachon par do saal tak tehqeeq ki gayi. tehqeeq mein bain al aqwami mahireen kay aik group ne yeh nateeja nikala ke jo bachay video games khailnay mein zyada waqt guzartay hain in mein depration aur pareshani barh jati hai aur woh dosaron say milnay julney say ghabratey hain. aik Amrici idaray ka kehna hai ke chhootey bachon ko din mein aik ghantay say zyada video games khailnay,
computer istemaal karnay ya TV dekhnay ki ijazat nahi deeni chahiye.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.