ترک محبت کر بیٹھے ہم


tark-e-mohabbat kar baiThey hum, zabt-e-mohabbat aur bhi hai
aik qayaamat beet chuki hai, aik qayaamat aur bhi hai

hum nay osi ke dard se apney saans ka rishta jod.r liya
warna shehar maiN zinda rehey ki ik soorat aur bhi hai

Doobta suraj dekh ke Khush ho rehna kisko raas aaya
din ka dukh sehney walooN, raat ki vehshat aur bhi hai

sirf rutooN ke badalney ke saath badaltey rehney par mauqoof nahi
os maiN bacchooN jaisi zid karney ki aadat aur bhi hai

sadyooN baad osey dekha, dil nay phir mehsoos kia
aur bhi gehree chauT lagee hai, dard ki shiddat aur bhi hai

meri bheegtee palkooN par jab os nay donoo haath rakhey
phir yeh bhaid khula in ashkooN ki qeemat aur bhi hai

osko ganva kar "Mohsin" oske dard ka qarz chukana hai
aik azziyat maand pad.ree hai aik azziyaat aur bhi hai !

Posted on Feb 16, 2011