agarche main ik chattaan sa admi raha hon
magar terey baad hosla hai k ji raha hon
voh reeza reeza merey badan mein utar raha hai
main qatra qatra usi ki aankh ko pi raha hon
teri hatheli pe kis ne likha hai qatal mera
muje to lagta hai main tera dost b raha hon
khuli hain ankhain magar badan hai tamam pather
koi bataye main mar chuka hon k ji raha hon
kahan milegi misaal meri sitamgari ki ?
k main gulabon k zakham kanton se si raha hon
na puch muj se k shehar walon ka hal kia tha
k main to khud apne ghar mein do gharri raha hon
mila to beetey dinon ka sach uski ankh mein tha
voh aashna jis se mudatton ajnabi raha hon
bhula de muj ko k be wafai baja hai laken
ganva na muj ko k main teri zindagi raha hon
voh ajnabi ban k ab miley b to kia hai mohsin
yeh naz kam hai k main b us ka kabi raha hon
پیر, 03 دسمبر 2012