شعراء 


bharkaien meri piyas ko aksar teri aankhain

sehra mera chehra he sumander teri aankhain

bojhal nazar aati hein bazahir mujhe lakin

khulti hein buhat dil mein utar ker teri aankhain

ab tak meri yadoon se mitaye nahi mitta

bheegi hui sham ka manzar, teri aankhain

mumkin ho to ik taza ghazal aur bhi keh loon

phir orrh na lein khuab ki chader teri aankhain

yun daikhte rehna usay achaa nahi mohsin

woh kanch ka paiker hey to pather teri aankhain

پیر, 03 دسمبر 2012
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
تیرے بدن سے جو چھو کر ادھر بھی آتا ہے تمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.