شعراء 


bichrey to qurbaton ki dua bhi na kar sakey,
ab ke tujhey sapurd-e-khuda bhi na kar sakey,


taqseem ho ke reh gaye sud kirchiyon me hum,
naam wafa ka qarz ada bhi na kar sakey,


nazuk mizaaj log the hum jesey aina,
tootey kuch is tarha k sadaa bhi na kar sakey,


khush bhi na rakh sakey tujhey apni chah me,
achi tarha sey tujhko khafa bhi na kar sakey,


esa sulook kar ke tamashai hans parain,
koi gila guzaar gila bhi na kar sakey,


hum muntazir rahey koi mushq-e-sitam to ho,
tum maslihat shanaas jafa bhi na kar sakey.

منگل, 26 فروری 2013
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
سب مایا ہےتمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.