شعراء 


gumsum c rehguzar thi , kinara nadi ka tha
pani mein chaand , chaand mein chehra kisi ka tha

ab zindagi sanbhal k leta hai tera naam
yeh dil k jis ko shoq kabi khudkushi ka tha

kuch abr b they banjh zameen se daray hue
kuch zaiqa hava mein meri tishnagi ka tha

kehney ko dhoondtey the sabhi apne khad-o-khaal
warna meri ghazal mein to sab kuch usi ka tha

woh ehtiyaat-e-jaan thi k be rabti-e-khayal
saye pe b guman muje admi ka tha

mushkil kahan the tarak-e-mohabbat k marhalay
ay dil magar saval teri zindagi ka tha

woh jis ki dosti hi mataa-e-khaloos thi
mohsin woh shakhs b mera dushman kabi ka tha

پیر, 03 دسمبر 2012
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
اگرچہ میں اک چٹان سا آدمی رہا ہوں تمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.