us dais main lagta hai adalat nahin hoti,
jis dais main insaan ki hifazat nahin hoti..
makhlooq-e-khuda jab kisi mushkil main phansi ho,
sajday main parray rehna ibadat nahin hoti..
hum khak nasheenon se hi kyun kartay hain nafrat,
kya parda nasheenon main ghalazat nahin hoti..
ye baat nayi nasal ko samjhani parray gi,
uryani kabhi bhi saqafat nahin hoti..
sir ankhon par hum us ko bitha laitay hain aksar,
jis k kisi waday main sadaqat nahin hoti..
pohncha hai agarchay barra nuqsan hamaisha,
phir bhi kisi banday ki ataat nahin hoti..
har shakhs sir pe kafan bandh k niklay,
haq k liye larrna to baghawat nahin hoti..
منگل, 26 فروری 2013