شعراء 


jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua
apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua

mere haal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main
pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se
us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

yun bhi kam amez tha mohsin wo is shahar k logon main
lekin merey samne akar aur hi kuch anjam hua

پیر, 03 دسمبر 2012
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
گم سم سی رہگزر تھیتمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.