kabi jo ehd-e-vafa meri jaan terey merey darmyaan tootey
main chahta hon k is se pehley zameen pe yeh asmaan tootey
teri judaai mein hoslon ki shikast dil pe azaab thehri
k jesey munh zor zalzalon ki dhamak se koi chattaan tootey
usey yaqeen tha k us ko merna hai phir b khuwahish thi us k dil mein
k tez chalney se paishtar dast-e-dushmanaan mein kamaan tootey
sab daleelen sanbhaal kar b merey wakeelo yeh soch lena
vahin pe meri shikast hogi jahan b mera byaan tootey
fana k teelay pe khaima-e-jaan hava k jhonke se yun gira hai
k jesey badqismati se buzdil shikarion ki machaan tootey
voh sang hai to girey b dil par voh aina hai to chubh hi jaye ga
kahin to mera yaqeen bikhrey kahin to mera gumaan tootey
ujaarr ban ki udas rut mein gazal to mohsin ne chairr di hai
kisey khaber hai k kis k masoom dil pe ab k yeh taan tootey ?
kabi jo ehd-e-vafa meri jaan terey merey darmyaan tootey
main chahta hon k is se pehley zameen pe yeh asmaan tootey
teri judaai mein hoslon ki shikast dil pe azaab thehri
k jesey munh zor zalzalon ki dhamak se koi chattaan tootey
پیر, 03 دسمبر 2012