شعراء 


zamane se suna tha k mohabbat haar jati ha
jo chahat yak tarfa ho wo chahat haar jati ha

kahin per dua ka aik lafz bhi asar kar jata ha
kahin barson ki ebadat haar jati ha

mohabbat kab kisi ko dushmani ka dars deti ha
mohabbat ki bazi mein to adawat haar jati ha

hamen kitne bhi shikwe hon uss ki jafaon k
per uss k samne her ek shikayat haar jati ha

ek arzoo si ha k uss ko bhool jaen ham
per uss ki yaad ate hi ye hasrat haar jati ha

جمعرات, 07 مارچ 2013
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
بہار آئیتمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.