is se pahale k terii chashm-e-karam maazrat kii nigaah ban jaaye
pyaar dhal jaaye meray ashkon mein aarzuu ek aah ban jaaye
mujh pe aa jaaye ishq kaa ilzaam aur tu be gunaah ban jaaye
main teraa shahar chhor jaaon gaa
is se pahale k saadgii tere lab-e-khaamosh ko gilaa keh de
terii majboriyaan na dekh sakay aur dil tujh ko bewafaa keh de
jaane main bekhudi mein kyaa poochhon, jaane tu berukhii se kyaa keh de
main teraa shahar chhor jaaon gaa
is se pahale k tere honton se gair honton ke jaam takraye
is se pehlay ke zulf ke baadal ajnabii baazuon pe lehraye
aur teri bebasi k nazaare merii aankhon pe aag barsaye
main teraa shahar chhor jaaon gaa
chhor kar saahil-e-hayaat chalaa ab safeena meraa kahin thehray
zehar peena meraa muqaddar hai aur tere hont dil-nashin thehray
kis tarah tere aastaan pe rukon jab na paaon talay zamin thehray
main teraa shehar chhor jaaon gaa
mujh ko itnaa zaroor kehnaa hai vaqt-e-rukhsat salaam se pehle
torr lon rishtaa-e-nazar main bhi tu utar aaye baam se pehle
ye meri jaan meraa vaadaa hai kal kisi vaqt shaam se pehle
main teraa shehar chhorr jaaon gaa
پیر, 26 نومبر 2012