merii daastaan-e-hasarat vo sunaa sunaa ke roye
meray aazmaane vaale mujhe aazamaa ke roye
koi aisaa ehl-e-dil ho ke fasaanaa-e-muhabbat
main use sunaa ke rooun vo mujhe sunaa ke roye
meri aarzu ki duniyaa dil-e-naatvaan ki hasrat
jise kho ke shaadmaan the usay aaj paa ke roye
teri bewafaiyon par teri kaj adaaiyon par
kabhii sar jhukaa ke roye kabhi moo chhupaa ke roye
jo sunaai anjuman mein shab-e-gham ki aap beetii
kayi ro ke muskuraaye kayi muskuraa ke roye
پیر, 26 نومبر 2012