qareeb maut khari hai zaraa thahar jaao
qazaa se aankh lari hai zaraa thahar jaao
thaki thaki si fizaye bujhe bujhe taare
bari udaas ghari hai zaraa thahar jaao
nahi ummiid k ham aaj ki sahar dekhen
ye raat ham pe kari hai zaraa thahar jaao
abhi na jaao ki taaron kaa dil dharakta hai
tamaam raat parri hai zaraa thahar jaao
phir is ke baad kabhi ham na tum ko rokain ge
labon pe saans arri hai zaraa thahar jaao
dam-e-firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh to lon
ye faisle ki ghari hai zaraa thahar jaao
پیر, 26 نومبر 2012