شعراء 


kesi bakhshish ka yeh samaan hua phirta hai
shehar saara hi pareshan hua phirta hai

ek barood ki jacket aur naara-e-takbeer
rasta jannat ka aasan hua phirta hai

kaisa ishq hai, terey naam pey qurban hai magar
teri har baat sey anjaan hua phirta hai

shab ko shaitan bhi mangay hai panahain jis sey
subh ko wo sahib-e-emaan hua phirta hai

janay kab kon kisey maar dey kafir keh kar
shehar ka shehar musalman hua phirta hai

پیر, 28 جنوری 2013
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
زندگی خوابِ پریشاں سے زیادہ تو نہیںتمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.