tere badan se jo chhoo kr idhar bhi ata hai
misal-e-rang wo jhonka nazar bhi ata hai
tamam shab jahan jalta hai ik udaas diya
hawa ki raah me ik aisa ghar bhi ata hai
wo mujhko toot k chahay ga , chhor jaye ga
mujhe khabar thi usse ye hunar bhi ata hai
ujaar bann me utarta hai ik jugno bhi
hawaa k sath koi hamsafar bhi ata hai
wafa ki kon c manzil pe usne chora tha
k wo to yad humain bhool kar bhi ata hai
jahan lahu k samandar ki hadd theherti hai
waheen jazeera lal o guhar bhi ata hai
chalay jo zikar farishto ki paarsaai ka
to zer-e-behes maqaam-e-bashar b ata haii
kabhi kabhi mujhe milnay bulandiyon se koi
shua-e-subh ki soorat utar b ata hai
isi liye me kisi shab na so saka mohsin
wo maahtaab kabhi baam per b ata hai
پیر, 03 دسمبر 2012