شعراء 


juda tum se huey hn to kisi se hum nhi milty
koi hum se mily bhi to khushi se hum nhi milty

agr pathar ho tum, to aao betho hum b pathar hain
agr ho aadmi, to aadmi se hum nhi milty

hum apni zaat mein sehra hain sehraon se yaari hy
kisi darya samandar ya nadi se hum nhi milty

hmein murda dili tohfay mein tum ne hi to bheji thi
gila mat kr jo ab zinda dili se hum nhi milty

hmari zindgi hy wo agr uss ki khushi hy to
chalo kuch roz apni zindgi se hum nhi milty

faqeeron ko faqeeron ki rafaqat raas aati hy
sakhi aaen to keh dena sakhi se hum nhi milty

بدھ, 13 فروری 2013
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
نہ کسی پہ زخم عیاں کوئیتمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.