شعراء 


koi zanjeer ho usko muhabbat torr sakti hai
jidhar chahe ye baagen zindagi ki morr sakti hai

muhabbat rok sakti hai kisi girtey sitarey ko
kisi jaltey sharare ko , fana kay shuaare ko

ye chakna choor aaine ki kirchein jorr sakti hai
koi zanjeer ho, usko muhabbat torr sakti hai

muhabbat per kisi bhi rasm ka pehra nahin chalta
kisi aamr ,kisi sultan ka sikka nahin chalta

ye her zandan ki andhi salakhen torr sakti hai
koi zanjeer ho usko muhabbat torr sakti hai

ye jab chahe kisi bhi khwab ki tabeer mil jaye
kisi rastey mein rasta poochti ,taqdeer mil jaye

samey kay taiz dharoon ko ye pichey chorr sakti hai
koi zanjeer ho , uss ko muhabbat torr sakti hai

پیر, 04 فروری 2013
یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein

اس زمرہ سے آگے اور پہلے

اس سے آگےاس سے پہلے
جو رعنائی نگاہوں کے لیے سامانِ جلوہ ہےتمہیں کتنا یہ بولا تھا
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.