19 جنوری 2012
وقت اشاعت: 10:1
Hum ne itihadiyon ko kabhi nahi chora, asfnd yaar wali
جیو نیوز -
Islamabad … awaami National Party kay sarbarah asfandyar wali bhi Supreme Court poanch gaye hain. media say mukhtasir guftagu mein Asfand yar wali ka kehna tha k mein Nawaz Sharif kay khilaaf tauheen e adalat case mein bhi paish howa tha, hum ne itihadiyon ko kabhi nahi chora. unhon ne kaha k Wazeer e Azam ka yahan aana tauheen e adalat ki nafi karta hai, hum ittihadi ki hesiyat say Supreme Court ayen hai.