17 ستمبر 2011
وقت اشاعت: 10:10
Janoobi Punjab kay awam soobah duun ga, Gilani
اے آر وائی -
Wazeer e Azam Yousuf Raza Gilani ne kaha hai k janoobi Punjab kay awam ka ehsas mehroomi door karnay ke liye alehda soobah duun ga, mukhalfat karnay walon ko awam mustard kar dein ge, yeh baat unhon ne muzaffar garh mein new city project ka sang bunyaad rakhnay kay baad jalsa aam say khitaab kartay huay kahi.