5 اکتوبر 2011
وقت اشاعت: 12:2
DG ISI general shuja pasha ki Khurshid Shah say mulaqaat
اے آر وائی -
DG ISI Lieutenant General Ahmed Shuja Pasha ne wifaqi wazeer Khurshid Ahmed Shah say parliment house mein mulaqaat ki. zaraye kay mutabiq mulaqaat mein Karachi aur Balochistan mein aman o Amaan say mutaliq sorat e haal par tabadlah khayaal kiya gaya. Khurshid Ahmed Shah ne Karachi aur Balochistan par parliment ki khusoosi committee kay ijlaas mein khufia idaron aur security hakkam ki janib say mumkina breifing par tabadlah khayaal kiya.
zaraye kay mutabiq DG ISI ne Khurshid Ahmed Shah ko Karachi aur Balochistan mein aman o Amaan kay hawalay say khufia idaron ki karkardagi kay mutaliq bhi bataya. mulaqaat mein aman o Amaan kay qiyam kay liye DG ISI ne uthaye gaye iqdamaat say khusoosi committee kay sarbarah ko aagah kiya.