6 جون 2011
  وقت اشاعت: 7:46
 
Sabiq Afghan saddar ki mlaamr say Pakistan mein mulaqaat ka daawa
 
 اے آر وائی -
اے آر وائی - 
Amrici akhbar Wall Street Journal ne apni aik report mein daawa kiya hai ke Afghanistan k sabiq saddar Burhan Aldeen Rabbani k numainday ne taliban rehnuma Mulla Umar say Pakistan mein mulaqaat ki hai. mulaqaat guzashta haftay Pakistan mein hui. 
 
Akhbar k mutabiq numainday ka talluq Afghan aman jirgay say hai aur iss jirgay k sarbarah Burhan Aldeen Rabbani hain. akhbar ka kehna hai ke sabiq saddar ka kehna hai ke in k taliban say mazakraat mein iss mulaqaat k baad taizi aai hai.