6 جون 2011
وقت اشاعت: 10:39
America ne Afghanistan mein supply keliye Pakistan pranhsarkm kardiya
اے آر وائی -
New york : Amrici akhbar ne daawa kiya hai ke America ne Afghanistan mein supply k liye Pakistan par inhisaar kam kardiya hai jabkay bharat k saath Amrici mehwar ko mazboot banaya ja raha hai. Afghanistan say Amrici inkhala k baad Pakistan aur America k darmain zyada faaslay paida ho saktay hain aur yeh soorat haal Washington aur nai Dehli k darmain bohat qareebi taluqaat paida kar sakti hai. akhbar k mutabiq islam abad ne wazeh ishara diya hai ke iss ne deegar mumalik aur logon ki taraf dekhna shuru kardiya hai.
Amrici akhbar New York times k mutabiq Osama ki halakat k baad white house ne Afghanistan say Amrici fouj k inkhala par taizi say kaam shuru kardiya hai. Washington mein yeh soch pukhta ho gayi hai ke America aur Pakistan k taluqaat mazeed mazboot nahi rahein gay. guzashta aik dahai say qaim uljhay huay taluqaat ka az sar e no jaiza lainay ki ab zaroorat hai. ab maidan mein khail ki nai chalen hain. sard jung k baad kayi dahaiyo tak Soviet Union k phelao k khadshay ne America aur Pakistan ko joray rakha. jab woh khadshaat guzar gaye tou in dono mumalik k darmain talluq khatam hogaya.
Issi tarah Afghanistan say Amrici inkhala k baad Pakistan aur America k darmain zyada faaslay peed ahu saktay hain jabkay Washington aur nai Dehli mein taluqaat mazeed ustwaar ho saktay hain. akhbar k mutabiq sabiq si aai a ohday dar barose ridle ka kehna hai ke America ne Afghanistan mein supply k liye Pakistan par inhisaar kam kardiya hai. bharat k saath Amrici mehwar ko mazboot banaya ja raha hai. agar America aur bharat qareeb aagaye tou phir islam abad qudrati tour par Cheen aur Saudi arab k qareeb jaye ga. Afghanistan mein jung k khatmay par Pakistan k saath Amrici taluqaat tabdeel ho saktay hain.
Akhbar k mutabiq America k Pakistan k saath tashweesh-naak taluqaat aik taweel arsay say pesha warana kashti ki tarah hain. haliya hafton mein America k saath taluqaat mein tanao kay baad Pakistani hakkam ne asia mein America k sab say baday hareef chain k saath kurbateen barhayain. abbot abad waqeye k fori baad Pakistani hakkam ne beijing ka safar kya aur apnay cheeni bhaiyon say kaha hai ke bahera arab para strategic bandargaah ko operate karein.
unhon ne kaha ke Cheen ki behria k liye dono mumalik Pakistan mein tail ki pipe linon, railway linen aur fouji adday qaim karnay ka mansoobah bana rahay hain. Pakistani hakkam pehlay he Afghanistan ko mashwarah day chuky thay ke woh America ki bajaye chain k saath taluqaat banayen. idhar Washington post k mutabiq Pakistan chain ka ahem ittihadi hai agar America ne saath chhoora tou chain Pakistan ki muashi madad bhi karsaktha hai.