8 جون 2011
وقت اشاعت: 10:9
Roose aur NATO forces ki dehshat gardi ki karwai ke khiaaf mushtarqa mashqen
جنگ نیوز -
Roose aur Nato ki forces ne fiza say dehshat gardi ki kise koshish ko nakaam bananay k liye mushtarqa mashqen kee. Roose aur Nato k hakkam ka kehna hai ke apni noiyat ki yeh pehli mashqen hain, jin ka maqsad gayarah september 2011 ko America mein tayyaron k zariye kiye gaye hamlon jaisi kise karwai ko nakaam bananay ki tayari karna hai. mashqon k liye Poland ne apna aik tayara diya jaisay dehshat gurdon ne high jack karnay ki koshish ki. cockpit mein dehshatgardon par qaboo pa liya gaya taham larai k doran tayyaray k navy gation system ko nuqsaan pohancha jis k baad roosi laraka tayyaron ne mutasirah jahaaz ko wapas Poland lay janay k liye iss ki rahnumai ki. roosi aur Nato forces ki mashqen 9 June ko khatam hon gi.