عربوں میں قدیم زمانے سے ایک نسخہ گرتے بالوں کے لیے یہ رائج ہے کے وہ کالے زیرے کو ہلکی آنْچ پر اِس حد تک پکاتے ہیں کے وہ جل کر بھربھرا ہو جاتا ہے . پِھر اس میں زیتون کا تیل شامل کر کے اسے ایک بوتل میں جمع کر لیتے ہیں اور بالوں میں لگا کر خوب اچھی طرح مساج کرنے کے بعد اسے کچھ دیر کے لیے یونہی چھوڑ دیتے ہیں . یہ نسخہ گنج پن کے لیے بیمثال تصور کیا جاتا ہے اور اِس کے مسلسل استعمال سے نئے بال بھی نکل آتے ہیں .
Arbon mai qadeem zamane se aik nuskha girtay baalon k liye yeh raaij hai k wo kalay zeeray ko halki aanch par is had tak pakatay hain k wo jal kar bhurbhura ho jata hai. Phir us mai zaitoon ka tail shaamil kar k usay aik botal mai jama kar letay hain aur balon mai laga kar khoob achi tarah masaaj karne k baad usay kuch dair k liye yunhi chhor detay hain. Yeh nuskha ganj pan k liye be-misaal tasawur kia jata hai aur is k musalsal istemal se naye baal bhi nikal aatay hain.
سماجی رابطہ