تازہ ترین سرخیاں
 تازہ ترین خبریں 
1 جولائی 2011
وقت اشاعت: 19:41

Adliya dehshatgardon kay khilaaf zameeni haqayiq kay mutabiq faislay nahi kar rahi, Basheer baloor

جنگ نیوز -

Khyber Pakhtunkhwa kay senior wazeer Bashir Ahmed bilour ne kaha hai k bad qismati hai k adliya dehshat gardon kay khilaaf muqadmaat kay faislay zameeni haqayiq daikh kar nahi kar rahi hai. Geo News say guftagu mein Bashir Ahmed bilour ne kaha k fouj aur awam ne dehsatgardi kay khilaaf jung mein bay panah qurbaniyan di hain. taham bad qismati hai k adliya dehshatgardon kay khilaaf faislay zameeni haqayiq daikh kar nahen kar rahi hai. in ka kehna tha k adliya ko faislay detay waqt qanoon ki kitaab kay saath saath zameeni haqayiq bhi dekhnay chahain. Bashir Ahmed bilour ne kaha k aisay faislay nahi karnay chahiye jis say dehshat gard bahar akaar dobarah dehshat gardi karein.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.