تازہ ترین سرخیاں
 تازہ ترین خبریں 
3 جولائی 2011
وقت اشاعت: 9:22

Si an jee mehngi hui tou lakhon afraad bay rozgaar hojayinge, Ghayas paracha

جنگ نیوز -

All Pakistan CNG association kay chairman Ghayas Abdullah paracha ne kaha hai k agar hukoomat ne gas mehngi ki tou CNG sanat say wabsta lakhon afraad bay rozgaar ho jaien gay. Geo News say guftagu mein Ghayas Abdullah paracha ne kaha k sochi samjhi saazish ki tehat CNG ki sanat ko tabah kya ja raha hai. in ka kehna tha k mulk bhar mein teen hazar teen so CNG stations hain. agar hukoomat ne gas mehngi tou lakhon afraad bay rozgaar ho jayen gay. unhon ne cheif justice Supreme Court say appeal ki k woh hakoomati iqdamaat ka azkhud notice lein. Ghayas Abdullah paracha ne hukoomat ko khabardaar kya k agar hukoomat apnay iraadon say baz nah aai tou mulk bhar mein pahiyah jaam kar diya jaye ga.


یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.