3 جولائی 2011
وقت اشاعت: 9:41
Karachi : fani kharabi kay baes bijli ka bohraan barqarar rehnay ka imkaan
جنگ نیوز -
Karachi kay mukhtalif ilaqon mein fani kharabi kay baes daidh mah say zayed arsay jari bijli ka bohraan barqarar rehnay ka imkaan hai, kiyon k KESC intizamia ne ghair pedawari shobay kay mulazmeen ko Raza karana alehadgi ki aakhri peshkash ki hai. jabkay ehtajaji mulazmeen ne peshkash thukra kar ehtijaj jari rakhnay ka elaan kya hai. Karachi electric supply company ne 31 decemeber 2010 ko pehli baar Raza karana alehadgi scheme muta-arif karai. 15 January 2011 taq 350 mulazmeen ne scheme say faida uthaya, deegar 4150 mulazmeen ko farigh kar diya gaya. taham CBA aur mazdoor tanzeemon kay taweel dharnay, saddar mumlikat aur governor Sindh ki mudakhlat kay baad 24 January ko bar tarf mulazmeen bahaal kardiye gaye. 20 April ko CBA labour union aur intizamia kay darmain tanaza shiddat inkhtiyaar kar gaya jab bahaal honay walay mulazmeen ko kaam say rok kar sar plus pol mein daal diya gaya. mulazmeen ne 28 April ko pehlay Karachi Press Club aur phir guzri head office par dharna diya jo ta haal jari hai. mulazmeen aur intizamia kay jhagray kay baes shehar mein bijli ka nizaam shadeed ho raha hai. KESC intizamia kehna hai k Raza karana alehadgi scheme ki peshkash kay tehat mulazmeen ko 7 laakh 20 hazar say 50 laakh taq raqam ada ki jaegi aur mulazmeen chahain tou contract company kay zariye rozgaar bhi haasil kar saktay hain. chairman CBA kehtay hain k wajah tanaza he v s s hai usay kaisay tasleem karlen. in kay mutabiq jo mulazmeen Raza karana scheme lena nahi chahtay inhay sar plus pol say nikal kar mulazmat par bahaal kya jaye, warna ehtijaj jari rahega. KESC intizamia kay mutabiq 670 Raza karana alehadgi say faida utha chuky hain jabkay 3830 mulazmeen kay gharon par v s s scheme kay khat bhaij diye hain. intizamia kay mutabiq is tarah bijli ki pedawar mein izafah hosakay ga jabkay CBA union usay mazdoor dushman iqdaam qarar deti hai lekin becharay Karachi kay shehri is saaray jhagray mein kise jurm kay baghair bijli kay bohraan ki saza bhagat rahay hain.