تازہ ترین سرخیاں
 تازہ ترین خبریں 
3 جولائی 2011
وقت اشاعت: 10:17

Mumbai hamlon kay baad Pakistan say baat band karna ghalti thi, Bharti aitraaf

جنگ نیوز -

Bharti hukoomat ne bil akhir tasleem karliya hai k Mumbai hamlon kay baad Pakistan kay saath baat cheet kay darwazay band rakhna shayad in ki ghalti thi. Bharti secretary kharja Nirupama Rao ne Bharti TV say baat cheet kartay huay apni hukoomat ki hatt dharmi tasleem kartay huay kaha k Mumbai hamlon kay baad Pakistan kay saath baat nah karna shayad Bharti hukoomat ki ghalti thi. aik sawal par Nirupama Rao ka kehna tha k Pakistan kay saath in masail par baat cheet karna hogi jin say dono mumalik mein doori paida hoti hai, baat cheet say aitmaad kay bohraan mein kami waqe hogi, aur is ka aitraaf dono mumalik kay wazraye Azam bhi kar chukay hain. unhon ne kaha k Bharti hukoomat ki haliya soch haqeeqat pasandana hai. Nirupama Rao ne kaha k policia laboratory mein nahi banai jatein balkay mahol ko mad e nazar rakhna parta hai.


یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.