تازہ ترین سرخیاں
 تازہ ترین خبریں 
3 جولائی 2011
وقت اشاعت: 10:43

Bhalwal : motor way par musafir coach ulat gayi, 4afrad halak

جنگ نیوز -

Bhalwal mein motor way interchange kay qareeb traffic haadsay mein do khawateen sameit 4 afraad jaNbahaq jabkay 6 zakhmi ho gaye. police kay mutabiq Rawalpindi say Lahore janay wali coach salim interchange kay qareeb pohanchi tou aik gaari ko bachatay huay bay qaboo ho kar ulat gayi. haadsay kay nateejay mein do khawateen sameit 4 afraad jaNbahaq ho gaye. marnay walon mein basheeran b b, aur Shams Aldeen shaamil hain jabkay do ki shanakht nahi ho saki. zakhmion ko hospital daakhil kara diya gaya.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.