5 اکتوبر 2011
وقت اشاعت: 11:57
Turkey aur sham ki mushtarqa jungi mashqon ka aaghaz
جنگ نیوز -
Turkey aur Sham ki mushtarqa jungi mashqon ka aaghaz hogaya. dono mumalik ki mushtarqa jungi mashqen budh ko sarhadi soobay hatay kay qasbay sikandron mein shuru huien jo kay 13 october taq jari rahein gi. mushtarqa mashqon ko ” lightning 2011ء mobilization exercise “ ka naam diya gaya hai jin ka maqsad afwaj ki kmyoni kishn aur pesha waranah salahiyaton ko taqwiyat dena aur in ki jaanch partaal hai.